Thursday, 10 November 2011

Meri cahaat ka sila wo yun dete h
Mujhe khud s bichadne ki dua roz dete h
Kami reh gayi meri he cahaat m shayad
Kyun phir y saza mujhe bewajeh dete h
Y jaante h Alhad nishchaal cahaat h meri
Phir kyun mere dil k tukade hazar kar dete h.....
Meri cahaat ka sila wo yun dete h
Mujhe khud s bichadne ki dua roz dete h
Kami reh gayi meri he cahaat m shayad
Kyun phir y saza mujhe bewajeh dete h
Y jaante h Alhad nishchaal cahaat h meri
Phir kyun mere dil k tukade hazar kar dete h.....
mooj-o-tamanna badalte der nahi lagti
ye samandar ki lehrey h.....kinara badalte der nahi lagti

saath nibhaye bhi to koi kab tak
soch s pehley jarurat badalte...der nahi lagti

tohmat kyun de zamane bhar ko
waadey chodo yahan niyat badalte....der nahi lagti

waqt he shayaad bewafaa chal pada h aajkal
kal kab kiska khuda badal jaye....der nahi lagti

Wednesday, 12 October 2011

 gour kejeyega to aap sun payengey.....meri dhadkaane ab aapka naam le kar dhadakti h......y shor nahi sanso ka....y aapki cahaat ka surur h jo aks par chaaya hua h.....hum koshish kare bhi to kaise rok payee khud ko....aapka khayal mere dilo dimag par haavi hua h....aap h yahan or kahin jaate he nahi.......aapko bhulu kaise aap ehsason m har pal javaan h....gour s suniyega agr meri dhadkaney ab aap ka naam le kar dhadkti h.......
 alfaaz h magar m bayan kaise karu....
apne pyar ka izhaar kaise karu...
sochti tu shayad khud smjh jayee....par
y mumkin ho y kaise tay karu.....
bepanha h mohabbt bta du tujhe.....par
karogey ikrrar tum bhi y aitbaar kaise karu....
waqt y mushkil h.....tamanna meri nadan....
mitengey y faasley y aarzu bhi kaise karu....
par.....kyun y dil kahey ...tu bhi karta h mohabbat bahut .....
teri dil ki dhankaaney bhi yahi kahey .....y khuwahish kya m tujh s karu.....
alfaaz bahut h magar bayaan m kaise karu....apne pyar ka izhaar ....chaloo tum bta do ab kaise karu......

Wednesday, 5 October 2011

unki cahaat ka surur kuch yun chaaya h zehan par ki aarzu ab bass unhi ki hoti h.......
unko dekhtey huye y din beet jaye.....aankhon m unke saaye tham jayee........
y shaam sehar unki tesnaagi m guzare.....mera aayina bhi ab bass unhi ka aks dikhaaye......itni mohabbat lutaaey h kabhi ......
lagta h dum bhi kahin khushi s na nikal jaye....
darti hu bahut zamane ki nazar s.......
ay khudaa hifazat karnaa mere pyar ki kahin kisi ki nazar na lag jayee........